Funny urdu roman poetry in computer terms
Aisa bhi nahin hai ke I don't like your face,
Par dil ke storage mein no more disk space.
Ghar se jab tum nikale pehen ke reshmi gown,
Jaane kitne dilon ka ho gaya server down.
Jabse meri zindagi mein aayi hai ek female,
Bhool gaya hoon sab kuchh, kya mailbox, kya e-mail.
Dil se ek ishq ka application create kar raha hoon,
Pyaar se debug karna mein wait kar raha hoon.
Tumhaare intezaar mein neend aayee to so gaya,
Yeh dekho mera connection time out ho gaya.
Kal jab mile the to dil mein hua ek sound,
Aur aaj mile to kehte ho your file not found?!
Jo muddat se hota aaya hai, woh repeat kar doonga,
Tu naa mili to apni zindagi ctrl+alt+delete kar doonga.
Shayad mere pyar ko taste karna bhool gaye,
Dil sey aisa cut kiya ke paste karna bhool gaye.
Laakhon honge nigaah mein kabhi mujhe bhi pick karo,
Mere pyaar ke icon pe kabhi to double-click karo.
Roz subha hum karte hain pyar se unhe good morning,
Woh aise ghoor ke dekte hain jaise 0 errors aur 5 warnings.
Nazar mein to koi hain aur shaayad lonely hain,
Problem yehi hai ki woh ab read only hain.
No comments:
Post a Comment